Saturday, 11 July 2015

63 last



main mona ke pass hi sofy par beth gia aur os ka hath pakar ke bolna tou yeh chata tha keh mujhay

tumhary jazbat ki qadar hai aur main bhi tumhary liye waisa hi jazba rakhta hun lakin main os ko ayasi koi

bhi baat keh na saka main ne sirf itna hi kaha " mona tumhari bat theek hai lakin phir bhi hum kiran ko

naraz karny ka risk nahi le sakty " halankeh agar dekha jay tou en alfaz min sab kuch tha agar mona ke

zehan min koi bat na hoti tou wo mujh se poochti keh kaysa risk lakin os ne ayasa kuch na kaha aur

khamoosh rahi


mona ke hath meray hathoon min hi thy main os ke pass hi sofay par betha hoa tha hum dono hi ik dosray

ke jisam ko feel kar rahy thy na os ne hath churany ki koi koshash ki aur na hi mujh se peechy hatny ki

koshash ki os ki nazrian ab jhuki hoi thi thori dair pehlay jo full muqabala kar rahi thi apni bari behan se ab

meray samny apnay hathiyar daly bethi thi main ne kaha mona awo meray sath tum kiran se sory bol do

meri bat sun ke os ne meri tarf dekha aur ayasta se boli sory kis bat ki tou main ne kaha kisi bat ki nahi

bas main keh raha hun na meri bat sun ke wo chup ho gi aur main sofy se uthnay laga aur sath hi os ke

hath pakray pakray os ko bhi sath hi utha lia wo bhi khari ho gi aur boli ap aapi ko nahi janty os ne batain

karni hin aur main ne bhi os ko suna deni hin mona ki bat sun ke main ne kaha wo jo bhi batain kary lakin

main tumhary munh se koi galat bat na sunu


hum dono kiran ke room ki tarf ja rahy thy mona ne apny hath ik bar bhi meray hathoon se churany ki koi

bhi koshash na ki darwazy par punch ke main ne os ka hath chor dia aur mujhay andaza ho chuka tha agar

main os ka hath na chorta tou os ne kamray min bhi ayasy hi chaly jana tha darwazy par punch ke bhi

main ne os ko dobara kaha hum masla suljhany ja rahy hin koi bhi tum ne ayasi bat nahi karni jis se masla

aur bigray mona ne sirf asbat min apni gardan halai aur hum dono kamray min chaly gy


samnay hi bed par dosri tarf munh kar ke kiran laiti hoi thi hum dono os ke front ki tarf chaly gy os ne hum

ko dekha aur nazar dosri tarf kar ke boli babar es se kahoo yeh jay yahan se es ko tameez hi nahi bary

choty se bat kaysy karni hai jo bhi munh min ata hai bakwas karti rehti hai ........................ kiran ki bat sun

ke gussa tou mujhy bohat aya lakin main bardahst kar gia aur apny lehjhay min mazaq dalty hooy bola

main bhi tum se bara hun mera kia haal karti ho jo tum apny baroon se karti ho tumhary choty bhi tou wohi

tum se karain gy na


meri bat sun ke wo bed se uth bethi aur boli main ne tum se kab bad tameezi hai hai mona agay thi main

thora peechy khara tha main ne kaha kon kon si bad tameezi batwoon tum ko tou pata hi nahi hota tum

mujh se kitni bad tameezi karti ho kiran phir boli main ne konsi bad tameezi ki hai wohi tou pooch rahi hun

........................... main ne kaha nahi wo tou main chachi ji ko hi batwoon ga aur mona ne nazar bacha ke

apny kameez ko galy se hata ke os ko dekhaya jahan os ke dantoon ke nishan thy jaisy hi os ki nazar meri

gardan par pari os ke face par smile aa gi main ne kaha ab bolo chachi ji ko batwoon tum kitni bad tameezi

karti ho meri bat sun ke wo boli na ji na main koi bad tameez nahi hun tum jis ko marzi bata do mona ne na

tou sory kia aur na hi koi bat kar rahi thi bas chup kr ke khari thi

No comments:

Post a Comment