Saturday, 11 July 2015
67
UPDATE .................................67
mujh se aur tou koi baat na hoi aur hi soojh rahi thi jaisy hi main ne mona ko apny sath lagaya mujhay
bohat hi acha feel hoa aur main ne os se kaha mona tumhary khaloo theek hi keh rahy thy keh jawan
larkioon ..................abhi itni hi baat kahi thi keh mona bol pari ap khaloo ki batoon ko aur khaloo ko dafa
karo mera hath shoulder se hota hoa os ke shoulder se zara neechy bazo par tha jis ko main ne apni muthi
min lia aur hum esi tarh chalny lagy tab wo ayasta se boli ab ap naraz tou nahi ho na main wahan ruk gia
kion keh main chaa raha tha mona meray sath hai aur waqat kisi tarh ruk jay mujhy bohat acha lag raha
tha os ko apnay sath laga ke jaisy hi main ruka aur wo bhi ruk gi main ne apna bazoo os ke shoulder se
hata ke ik qadam aur agay bhara aur samnay ho ke os ke dono shoulders ko side bazoo se apni muthi min
ayasta se le ke kaha nahi main naraz nahi hun aur ik hath os ke shoulder se hata ke os ke sar ko apny
seeny pr kia os ne bhi aram se apna sar meray seenay par tika dia
mona sar mery seeny par tikaye hooy hi boli main tou dar gi thi keh ap naraz ho gy ......................... main
ne kaha mona main tum se kibhi naraz nahi hun ga jaisy hi main ne yeh alfaz kahy mona ne apna ik bazoo
meri kamar par rakh dia ...... kamar par bazoo rakhny se os ka thora sa jisam mujhy touch hoa tou mujhay
andaza hoa os ka jisam kapkapa raha hai jab main ne khud par ghoor kia tou mujhy andaza hoa keh os ka
jisam hi kapkapa nahi raha mera bhi waisy hi kapkapa raha hai mujh min sakat nahi thi main mona se koi
baat karoon na hi meri zuban koi lafaz ada karny ke qabal thi aur os ki halat bhi mujh se mukhtalaf na thi
beshak thori si hi wo mery galy lagi hoi thi lakin wo lamha meri zindgi ka qeemti tareen lamha tha main cha
kar bhi os lamhay ko taveel na kar saka kion keh hum dono ko hosh tab aya jab neechy se kisi ke oper
aany ki aahat hoi hum ik dosray se alag hooy aur neechy utarny lagy tab dekha sehiroon min tou andhera
tha lakin awaz se pata chala keh uzma oper aaana chaa rahi thi hum ko aata dekh ke wo peechy murtay
hooy boli miss meesni akhar kamyab ho gi bhai ko lany min
jaisy hi main aur mona neechy utarny lagy main ne mona ka hath pakar lia jo os ne ba khooshi meray hath
min de dia aur hum neechy aa gay , ammi ji ne mujh se poocha putar kia baat hai kion meri bachi ko
pershan karta rehta hai kion es se naraz hota hai main ne mona ki tarf dekha aur kaha ammi ji ap es ki
batoon min na aya karo uzma theek hi kehti hai yeh miss ........abhi main ne miss hi kaha tha keh uzma bol
pari miss meesni sirf main hi keh sakti hun aur koi nahi keh sakta bhai ap es ka koi aur naam rakhoo mona
chup kar ke khari thi keh ammi ji ne agay bhar ke os ko galy se laga lia aur kaha khabar dar kisi ne meri
beti ko tang kia ................... ammi ji ka mona se yoon piyar karna mujhay bohat acha lag raha tha ammi ji
ke galy lagy hooy meri nazar jab mona par pari wo mujhy hi dekh kar smile kar rahi thi ,,ammi ji mona ko
galy lagaye hooy hi boli ab agar tum ko koi tang kary tou mujhay batana main en ko seedha kar dun gi jis
par uzma boli hum sab mil kar es miss meesni ko seedha na kar dain gy tou mona ne masoomiat se ammi
ji se kaha bari mamma dekh lain ap appi ko ,, ammi ji ne kaha es ko tou main ne dafa hi kar daina hai tab
ammi ji boli keh babar tum log jawo hum bhi thori dair tak aty hin mehmanoo ko milny tab mona boli bari
mama ap bhi awo na sath tou ammi ji boli keh putar sab ko khana dena hai fargh ho ke awoon gi aur hum
dono wahan se nikal pary
gate se niklty hi main ne ne kaha ammi par kia jadoo kia hai tum ne tou mona boli main ne konsa jadoo
karna hai bari mama sab se zaida mujh se hi piyar karti hin .............. gali min andhera tha hum dono sath
sath hi chal rahy thy main ne dobara mona ka hath pakar lia os ne bhi koi baat kiye bagir hath mujhay de
dia aur hum khamooshi se un ke ghar min aa gy hum dono ab tak khul ke ik dosray se izhar e mohabat na
kar saky thy
sab hi sehan min charpioon par bethy thy chachi aur un ki sister ik charpai par thy khaloo ik charpai par
laity hooy thy kiran kitchen min thi main side wali charpai par beth gia mona mery samnay wali charpai par
beth gi aur wo chor nazroon se mujhay dekh rahi thi ab direct light min os ko main bhi dekh raha tha jaisy hi
meri nazar os par parti wo nazar neechy kar laiti itny min kitchen se kiran ne mujhay awaz di tou main os ki
tarf chal para ................. kiran mujhay dekhty hi boli ab agar wo koi bat kary tou os ko khari khari suna
deni hin tum ne tum ne yeh nahi sochna wo mehman hai kionkeh hum ne abbu ji ko bataya hai wo bhi ammi
ji se naraz hooy.................. main ne kaha chacha ji se kis ne kaha tab wo boli un se mona ne kaha tha
main kiran se fargh ho ke dobara apni jagha par aa ke beth gia itny min chacha ji bhi aa gay un ko dekhty
hin mujhy din wala waqya yad aany laga jo thori dair kaliye mona ki wajha se min bhool gia tha , chacha ji
ko dekhty hin meri halat ghair hony lagi main tou es yaqeen ke sath betha tha keh wo waqya chhup nahi
saky ga tab chacha ji meray pass aye main un ko dekh ke charpai se khara ho gia tou unhoon ne kaha
mera shair putar aya hai aur meray sath hi charpai par beth gy main chacha ji se apni beizati ki tawaqa kar
raha tha lakin un ke lehjhay se mujhy lag raha tha chacha ji ko kuch pata nahi chala phir main ne socha ,
nahi ayasa nahi ho sakta chacha ji mehmano ki wajha se chup hin
chacha ji mujh se boly kia baat hai shair putar chup kion betha hai main ne un ki tarf dekha aur kaha koi
baat nahi hai chacha ji , chacha ji boly yar koi bat bhi hoa kary mujhay bataya karo lakin pershan na hoa
karo
os ke bad khana lag gia sab ne khana khaya aur dobara apni apni jagha par aa ke beth gy itnay min ammi
ji aur shazia bhi aa gy mehmano se mily ider udher ki batain hoti rahi sara time main ne ik baat note ki keh
mona ammi ji ke pass hi rahi aur phir hum wahan se uthay aur apnay ghar aa gay sony se pehlay tak main
dairay min hony waly waqye ke bary sochta raha keh agar wo baat ghar punchy gi tou kia karoon ga lakin
mujhay koi hall nazar na aa raha tha aur mona se aj ka milna bar bar meri ankhoon ke samny aa jata yehi
sab sochty sochty pata nahi kab main so gia
subah utha tou fresh ho ke nashta karny ke bad ammi ji ko saman wagira la ke dia aur ammi ji ne kaha keh
ab chachi se bhi pooch awo un ko kisi cheez ki zaroorat hai tou laa do un ke mehman aye hooy hin,, main
apny ghar se nikla aur chacha ji ke ghar punch gia chachi se saman ka poocha tou unhoon ne bataya keh
chacha ji de gy hin saman , main bhi haal room min beth gia jahan sab hi thay mona ke khalo ab koi bat
tou na kar rahy thy lakin mujhay kha jany wali nazroon se dekhty rahy
mona , kiran chachi ji aur un ki khala yeh sab mehsoos kar rahi thi main ne feel kia mona aur kiran ne apas
min kano min kuch khusar pusar ki chachi ji ne un se poocha kia baat hai tab kiran boli koi baat nahi hai
tou chachi ji ne kaha jab mehfil min betha jata hai tou kano min batain nahi ki jati tou kiran ne jal kar kaha
ammi ji ap ko pata hai hum kia baat kar rahi hin agar ap zor deti ho tou main bata deti hun chachi ji ne kaha
koi zaroorat nahi tum jawo saman rakh lo yeh bat sunty hin khaloo khary ho gy aur boly baji main saman
rakhwa deta hun toukiran boli yeh theek hai ayasa karty hin khala ji aur khaloo ji saman rakh dety hin main
khana tiyar karti hun , kiran ki bat sun ke un ki khala jildi se khari ho gi aur khaloo se boli chalo ji khaloo
kibhi khala ko kibhi kiran ko kibhi mujhay aur kibhi chachi ji ko dekh raha tha tab khala ne os ka bazoo
pakra aur oper le gi
un ke jany ke bad chachi smile ke sath hi boli kiran tum bohat khabees ho wo bechara seedha sada sa hai
tum ne os ke sath acha nahi kia , tab kiran boli ammi agar wo seedha saada yahan thori dair aur rukta tou
main ne aur mona ne programe bana lia tha os ko kaysay wapis bejhna hai ayasy hi batain chalti rahi thori
dair bad chachi ji ne pehlay mona aur phir kiran se kaha jawo apny khalo aur khala ko pani tou de awo
lakin un min se koi bhi oper na gi , chachi ji ne un ko bohat samjhya keh mehman hin lakin un dono par
chachi ji ki bat ka koi asar na hoa main kafi dair wahan betha raha lakin ayasy hi batain chalti rahi ,,
chachi ji aur kiran kitchen min chaly gy mona ko kibhi kibhi wo kisi kaam se bula laity jab mona kamray min
aati tab meri os se koi khas baat na hoi kion mafia wahan thi aur main mona se itna open nahi tha keh koi
bhi bat khul ke karta aur khaloo ki wajha se bhi main ne koi risk na lia abhi kal wala waqya bhi tha main koi
aur risk nahi le sakta tha aur na hi kisi ki tarf bhi khud se abhi qadam barhany ki position min tha phir main
chachi ji ki ajazat se apnay ghar aa gia
ghar aya tou sab hi ghar par thy uzma ki wohi nok jhok mujhay dekhty hi kehny lagi bhai agar chacha ji ke
ghar ka kaam khatam ho gia hai tou apna bhi kar do gay hum ne bhi bisteroon ko dhoop lagani hai main os
ki bat sun ky bola tou kuch na bas os ki tarf dekha kionkeh main kuch bolna nahi chata tha abba ji bhi
bethay thy lakin wo baaz aany wali kahan thi ab wo mujh se meray sabqa gussay aur dant dabt ky es tarh
badlay le rahi thi ....................... uzma phir boli bhai ap ko ab kam karny ka tajurba tou ho gia ho ga main
ne phir masoomiat se osy dekha keh meray haal par reham karo lakin os par meray kisi isharay ka koi
asar nahi ho raha tha.......................... uzma ne phir kaha bhai ap tou thak gy ho gy wo tou sara kam ap se
karwati ho gi na ghar min tou ap kuch karty nahi ..................main ne kaha tha mujhay bhi parha dia karo
lakin nahi .......................... phir ammi ji ne uzma ko danty hooy kaha kion bhai ko tang kar rahi ho tou uzma
ne saaf goi se kaha meray pass ab hi tou moka aya hai ........................ phir boli bhai os meesni ko bhi le
aana tha main os se ik ik badla laiti ap par zulam ka tab aba ji ne kaha betay bhai ko tang na karo tumhary
chacha ka kaam kon kary agar babar bhi na kary tou tab uzma boli abba ji chacha ji ka kary bhai kaam os
meesni ka tou na kary na aur bhai os ka naam aany nahi dety ap pooch lo bhai se tou bhai keh dain gy
mujhay tou kiran ne bulaya tha kam karny ko .......tou abba ji ne kaha chacha kahay kam ya chachi ya koi
aur es se kia farq parta hai kaam tou dono gharoon ka babar ne hi karna hai na yeh hi hai es time ghar
min bara tumhary bary bhai jab yahan hoty thy tab wo karty thy ab zamedari babar ki hai tumhary chacha
ka beta tou abhi chota hai (mujh se bary 2 bhai UK gy hooy thy ik study kaliye gia tha os ke bad os bhai ne
dosray ko bula lia dono bhai wahan parhty bhi thy aur kam bhi karty thy ) phir ammi ji ne ayasta se abba ji
ke kan min koi baat ki jo main sun na saka lakin un ke face par smile aa gi aur abba ji ki bat main ne suni
unhoon ne ammi ji se kaha abhi waqat nahi hai ( mujhay andaza ho gia tha ammi ji ne un ko meri aur mona
ki baat ki ho gi )jo baat main samjha tha wohi uzma bhi samjhi thi es liye uzma abba ji se kehnay lagi abba
ji waqat tou hai tou abba ji ne os ke sar par hath pherty hooy kaha putar bhai ko tang na kia karo aur yeh
dadi amma ban-na chor do phir theek rahy ga babar pehlay ki tarh tum se gussa kary tou uzma boli abba ji
ab bhai gussa nahi kar sakta
inhi batoon ke doran main wahan se utha aur washroom min ja ke nahaya aur apny kamray min aa ke lait
gia tab uzma wahan aai aur meray pass khari ho ke boli bhai ap ko meri baat par gussa aya hai tou main
ne kaha nahi mujhy tou gussa nahi aya tab wo boli mujhay pata tha ap ko gussa nahi aya tou main ne
kaha tou phir poocha kion hai agar tum ko pata tha tou wo boli abba ji mujhy keh rahy thy tumhary bhai ko
tumhari batoon par gussa aya hai main es liyee ap se sory bolny aai hun aur os ki ankhian nam thi main
charpai se utha aur os ko apny sath laga lia aur kaha mujhay tum par kibhi gussa nahi aa sakta main tou
ab sochta hun main pehlay bhi tum se gussay kion hota tha
uzma meray sath lagi hoi thi meray zehan min koi bhi galat khiyal nahi tha main tou apni behan ki ankhoon
ko nam dekh ke bardasht hi na kar saka tha aur yeh bhi sach tha wo bilkul masoom thi aur bhai ki mohabat
min chair chaar kar rahi thi wo side pse min meray galy lagi hooi thi main os ky sar ko apny sath laga ke
apny hath ko sar par phair raha tha tab wo mujh se alag hoi aur boli bhai main oil le ke aati hun ap ke sar
ki malish kar dun bas es tarh uzma os din , din ko soi na aur shazia bhi meray kamray min hi aa gi uzma ki
batain chalti rahi shazia ko itni samjh nahi thi wo bs har bat par hans deti
bas ayasy hi batoon batoon min time ka andaza na hoa tou uzma ne poocha bhai chachi ji ka ke ghar ka
sab kaam ho gia tou main ne kaha nahi dobara jana hai aur jaisy hi bat khatam kar ke main ne os ki tarf
dekha wo smile kar rahi thi os ki smile dekh ke main ne bhi smile ki lakin bola kuch na wo phir boli bhai ap
ne jana hai tou naha lo nahi tou os meesni ne dobara mafia ko bejh dena hai tou main ne kaha yar mujhay
kiran ne kaam ka kaha hai os ne nahi tou wo boli kiran ka tou bahana hai aur hans ke bahar jany lagi tab
main ne kaha wo log apna kaam apni khala aur khaloo se karwa rahy hin meri baat sun ke uzma ruk gi aur
herangi se meri tarf dekhty hooy boli kiaaaaaaaaaaa tou main ne keh dia keh kiran ne kaha tha wo khana
tiyar karti hai aur khala aur khaloo saman rakhny ka kaam karain .................. phir uzma ne mujhay kapray
diye aur main naha ke tiyar ho ke chacha ji ke ghar kaliye niklny laga tab tak sab ghar waly jag chuky thy
mujhay yad aya keh mujhay shehnaz ne bulaya tha lakin meri himmat nahi ho rahi thi os tarf dekhny ki bhi
wahan jana tou door ki bat thi ab main ne shehnaz waly waqiye ko halat par chorny ka socha tha lakin phir
bhi wo waqya mery demagh se nikal nahi raha tha
main chacha ji ky ghar gia tou darwaza chachi ji ne khola jo chaye banany kitchen min ja rahi thi main un
ko chor ke haal room min aa gia samnay sofy par mona bethi thi mujhay dekhty hi ik masoom se smile ki
aur sar ko thora neechy jhuka ke mujh se kehnay lagi main tou soch rahi thi ap nahi awo gy............ tou
main ne kaha aj tou kam bhi nahi kia aur mujhay ammi ji ne bejha hai ja ke dekh awo koi kam tou nahi tab
mona boli agar bari mama na bejhti tou ap na aty tou main ne apnaiyat se kaha nahi main phir bhi aata
mona meri tarf dekh nahi rahi thi os ne apni nazrian farsh par jama ke rakhi thi aur khilly ghulab ki tarh bilkul
fresh bethi thi main os ke samny sofy par beth gia aur main ne os se kiran ka poocha tou wo boli wo so
rahi hai,,,,,,,,, main abhi os ko uthany gi thi keh chaye banwo lakin wo nahi uthi ,, main ne khala khaloo aur
mafia ka poocha tou mona boli mafia bhi so rahi hai aur khala khaloo jab neechy utray kam kar ke un ki
halat dekhny wali thi lakin kam bhi adhoora hi chor aye thy khala aur khaloo ki bat karty hooy wo hasnay
lagi
main darwazy ke samny waly sofy par hi betha tha bahar se sab mujhay nazar aa raha tha tab main ne
mona se poocha tum ne sooi tou wo boli mujhay neend nahi aa rahi thi ............................ main mona se
apny aur os ky bary batain karna chaa raha tha lakin mujhay kuch samjh nahi aa rahi thi kahan se sharoo
karoon aur kia baat karoon phir main ne poocha tumhara home work ho gia tou wo boli nahi abhi tou
sharoo hi nahi kia......................... main ne chonk ke os ki tarf dekha aur kaha kia matlab hai abhi sharoo
nahi kia tou sara sara din books min gussi rehti ho mona ko bhi apni galti ka ahsas ho gia tha lakin ab os
se koi bat nahi ban rahi thi main ne kaha ayasy tou fail ho jawo gi os ki nazrian neechy thi wo koi bhi
jawab nahi de rahi thi hum dono akily thy mera dil kar raha tha kisi tarh main topic par baat ho lakin masla
yeh tha keh kaysy ho phir meray zehan min idea aa gia main ne mona se kaha ik glass pani tou dena
...................shehnaz waly waqye ka ab pehlay ki tarh mujhay dar nahi lag raha tha kion keh kafi time ho
gia tha aur abhi tak koi bat nahi hoi thi
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment